Freelancing Kya Hai?
Freelancing kya hai? Ye sawal aaj kal har student aur ghar betha shakhs Google par search kar raha hai. Freelancing ka matlab hai azad kaam karna. Is me aap kisi ek company ke mulazim nahi hote, balke apni marzi se alag alag logon ke liye kaam karte hain aur paise lete hain.
Agar aap bhi jaanna chahte hain ke freelancing kya hai aur mobile se freelancing kaise shuru karen, to ye post aap ke liye hai. Is me hum aap ko bilkul asan zuban me batayen ge ke freelancing kaise shuru karen, kaam kahan se milega aur paise kaise aayen ge.
Freelancing Kaise Shuru Karen - Step By Step
Freelancing kaise shuru karen? Ye sab se zyada poocha jane wala sawal hai. Freelancing shuru karna bahut asan hai, aap ko is ke liye bari degree ya zyada paiso ki zaroorat nahi hai.
Step 1: Ek Skill Seekhen
Sab se pehle ek chhoti si skill seekhen. Jaise content writing, graphic designing, video editing, data entry, logo design, thumbnail design. Aap ye skill YouTube se free me seekh sakte hain.
Step 2: Fiverr Par Account Banayen
Freelancing ke liye sab se aasan website Fiverr hai. Is par account banana bilkul free hai. Aap apni skill ka ek chhota sa gig banayen. Jaise "Main aap ke liye 500 lafzon ka article likh doon ga".
Step 3: Upwork Par Apply Karen
Upwork thora mushkil hai lekin wahan zyada paise milte hain. Jab aap ko Fiverr se 2-3 kaam mil jayen, tab Upwork par jayen.
Mobile Se Freelancing Kaise Shuru Karen?
Mobile se freelancing kaise shuru karen? Ye sawal Pakistan me sab se zyada search hota hai. Ji haan, aap mobile se bhi freelancing shuru kar sakte hain. Aap ko laptop ki zaroorat nahi hai.
Mobile se aap ye kaam kar sakte hain: content writing, Canva se thumbnail design, CapCut se video editing, data entry, social media manager ka kaam, translation ka kaam. Aap ko sirf Canva, CapCut aur Google Docs jaisi free apps chahiye hongi.
Bohat se log mobile se freelancing kar ke mahine ke 30,000 se 50,000 tak kama rahe hain. Shuru me paise kam milenge, lekin jab aap ka kaam acha hoga to client khud aap ko dhoonde ga.
Freelancing Ke Liye Best Websites Kaun Si Hain?
Freelancing ke liye best websites ye hain:
1. Fiverr: Naye logon ke liye sab se best hai. Yahan aap apni marzi ki qeemat rakh sakte hain.
2. Upwork: Yahan bare clients hote hain aur mahine ka kaam milta hai.
3. Freelancer.com: Yahan chhote chhote kaam bohot zyada hote hain.
4. PeoplePerHour: Ye UK ke clients ke liye best hai.
Shuru me sirf ek hi website par kaam karen. Ek par kamyab ho jayen to doosri par jayen. Har jagah account bana kar waqt zaya mat karen.
Freelancing Se Kitni Kamai Hoti Hai?
Freelancing se kitni kamai hoti hai? Ye aap ki skill par hai. Shuru me aap ko ek kaam ke 500 se 1000 rupay milenge. 3 mahine baad jab aap ko 5 star rating mil jaye gi, to aap ek kaam ke 5000 se 10000 rupay bhi le sakte hain.
Jo banda roz 2 ghante mehnat karta hai, wo 6 mahine me freelancing se achi earning shuru kar deta hai. Jo banda har hafte skill badalta hai, wo kabhi nahi kama pata. Is liye ek hi skill par ruken.
Freelancing Me Kamyabi Ke 3 Raaz
1. Waqt Par Kaam Dena: Client ko kaam waqt par dena sab se bara raaz hai. Agar aap ne kaha hai kaam kal doon ga, to kal hi dena hai.
2. Acha Bartao: Client se hamesha izzat se baat karen. Acha bartao hi aap ko dobara kaam dilata hai.
3. Roz Seekhna: Roz 30 minute apni skill ko behtar karne me lagayen. Aaj ki seekhi hui cheez kal aap ko zyada paise dilaye gi.
Aakhri Baat
To dosto, aaj hum ne seekha ke freelancing kya hai, mobile se freelancing kaise shuru karen, freelancing ke liye best websites kaun si hain aur freelancing se kitni kamai hoti hai.
Agar aap ko freelancing shuru karni hai to aaj se hi ek skill seekhna shuru kar den. Aur agar aap ko online earning ke aur tareeqe jaanne hain to humari pehli post bhi parhen jisme hum ne 220+ tareeqe bataye hain.
Freelancing Ke Bare Me Aksar Poochae Jane Wale Sawal
Sawal: Freelancing ke liye laptop zaroori hai?
Jawab: Nahi, shuru me mobile se bhi freelancing ho jati hai. Baad me laptop le sakte hain.
Sawal: Freelancing seekhne me kitna waqt lagta hai?
Jawab: Ek skill seekhne me 1 mahina lagta hai aur kaam milne me 2 se 3 mahine lagte hain.
Sawal: Freelancing ke liye English aana zaroori hai?
Jawab: Thori si English kaafi hai. Aap Google Translate se bhi kaam chala sakte hain.
